Friday, October 5, 2007

Main chahta bhi yahi tha...

Main chahta bhi yahi tha vo bewafa nikle
use samajhne ka koi to silsila nikle..

Kitaab-e-*maazi ke *auraak ulat ke dekh zara
na jaane kaun sa safha muda hua nikle..

Jo dekhne main bahut hi kareeb lagta hai
usi ke baare main socho to faasla nikle...
[Wasim Barelvi]

This was sung by Jagjit Singh (with slight changes ;) ) ...
*maazi=past, *auraak=pages

Tuesday, October 2, 2007

Aadmi..

Har taraf har jagah beshumaar aadmi
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bojh dhota hua
apni hi lash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua roz marta hua
har naye din naya intazaar aadmi

Zindagi ka muqaddar safar dar safar
aakhiri sans tak beqaraar aadmi

Sung by Jagjit Singh and Lata Mangeshkar in 'Sajda'

Monday, October 1, 2007

Jaate Jaate...

This is one of my favorites

Jaate Jaate wo mujhe achchi nishaani de gaya
umr bhar dohaaraunga aisi kahaani de gaya

Us se main kuch pa sakun aisi kahan ummeed thi
gham bhi vo shaayad baraiye meharbaani de gaya

Sab hawaaen le gaya mere samandar ki koi
aur mujhko ek kashti baadbaani de gaya

Khair main pyaasa raha par usne itna to kiya
meri palkon ki kataron ko wo paani de gaya

[Javed Akhtar]

Sung by Jagjit Singh in 'Silsilay'